SAD SHUKR HASHIM SISTERS New Nohay 2018 Muharram 1440
SAD SHUKR MERAY MOLA (AS), KE DEKH LIYA ROZA
HUSSAINA HUSSAINA KARBALA
A noha expressing our gratitude to Mola Hussain (as) and describing the feelings after having seen the dome of Imam Hussain (as) & Hazrat Abbas (as) in the Holy land of Karbala. We are thankful to Allah (swt) and our Master Imam Hussain (as) for granting us our wish of visiting the land of Karbala. With the Dua that everyone that wishes to visit Karbala, is granted their prayer.
Download on ITunes - https://itunes.apple.com/us/album/ashke-ghume-hussain-as/1435037495
Nohay 2018/2019 - SAD SHUKR - WITH LYRICS - HASHIM SISTERS 2018 - NOHAY MUHARRAM 1440
Reciters : Hashim Sisters
Noha : Sad Shukr
Poetry : Asif Bijnori
Vol. 13
Sad Shukr Meray Mola, Ke Dekh liya Roza
Pohchey jo Karbala hum choomi zameen e athar
Seenay pe haath aaya aur Ya Hussain lab par
Jo Kefiyat thi apni woh sab bayaan ho kyun kar
Ankhon se girrahay thay Khaak e shifa pe gohar
Ashaab e bawafa ke saanchey mein dhal rahay thay
kaanton pe chalnay walay makhmal pe chal rahay thay
har ek qadam pe apni qismat badal rahi thi
apney bhi dil ke andar armaan machal rahay thay
Nazdeek se jo humney raahay nijaat dekhi
raahay nijaat par phir apni hayaat dekhi
phir ussey aagay badhkar nehre furaat dekhi
chasme zadan mein humnay kul kaenaat dekhi
Phir uskay baad pohchay ham roza e jari par
dekha nahin tha aisa hum nay kbahi bhi manzar
ek saath ho rahi thi kham dar pe sakaRo sar
lagta tha Karbala mein jaise bapa hai mehshar
Woh roub o woh jalaalat jissay thay khaf taari
Reh reh ke kar rahi thi sajda nazar hamari
dil muztarib pareshaan saanson mein aaho zaari
yeh zindagi ke kuch pal thay har sadi pe bhaari
Do janaton ke jis dam hum darmiyaan kharay thay
Qismat pe apni us dam hum rashk kar rahay thay
khuda apni hi sarapa hairat se dekh ti thi
parwaan char rahi thi jo dill mein wal walay thay
Chokhat ko shahe deen Ki chooma gale lagaya
Kuchh waqt dar pe thehre qadmo ko phir badhaya
Mat poochhiye K hamko kya kya khayal aaya
Ghuzre huye palo,n ne be saakhta rulaya
Jaali pe hath rakkha dil ko qarar aaya
Mazloom e karbala ko phir haal e dil sunaya
Aankhon ki putliyon ko mas karke jab uthaya
Aisa laga K jaise dil cheer kar dikhaya
Pursa diya tadapkar qasim se gulbadan ka
Karbobala K ban me ujde huye chaman ka
Ansaar o aqreba ka mazloom be watan ka
Beton ka bhanjon ka Bhai ka aur bahan ka
Sad shukr meray Mola ke dekh liya roza
Hussaina Hussaina Karbala
Dil ki jo kefiyat thi asif bayaan ho kaise
Toofan kitni utthe arman kitne machle
Hashim ye mukhtasar se bas hain safar K kisse
Dil chhod aaye apna roze pe shahe deen ke
#HashimSisters #Noha2018 #SadShukr #Muharram1440
Najaf to Karbala walk
Arbaeen Walk
Chehlum in Karbala
Ziyarat of Imam Hussain
Baynul Haramain
Feelings on our way to Karbala
-
Category
No comments found