Jahan Roza-e-Pak- Qari Waheed Zafar Qasmi
Lyrics : Jahan Roza-e-Pak e Khair Ul Wara Hai
Woh Jannat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Kahan Mein Kahan Yeh Madinay Ki Galiyan
Yeh Qismat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Muhammad (SAW) Ki Azmat Ko Kya Poochtay Ho
Ke Woh Sahibe Qaba Qousain Tehre
Bashar Ki Sare Arsh Mehman Nawazi
Yeh Azmat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Jo Aasi Ko Kamli Mein Apni Chupale
Jo Dushman Ko Bhi Zaqam Khakar Dua De
Usay Aur Kya Naam Dega Zamaana
Woh Rehmat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Qayamat Ka Ek Din Muayyan Hai Lekin
Hamaray liye har nafas hai qiyamat
Madinay Say Hum Jaan Nisaron Ki Doori
Qiyamat Nahin Hai To phir aur kya hai
Shafa'at Qiyamat Ke Taabay Rahi Hai
Yeh Chashma To Roz-e-Azal Se Hai Jari
Qataa Kaar Bandon Pay Lutfe Musalsal
Shafa'at Nahin Hai To Phir Aur Kiya Hai
Tum Iqbal Yeh Naat Keh To Rahay Ho
Magar Yeh Bhi Socha Ke Kya Kar Rahe Ho
Kahan Tum Kahan Madhe Mamdoohe Yazdan
Yeh Jurrat Nahin Hai To Phir Aur Kya Hai
Beautiful Naat Written By Marhoom Iqbal Azeem (RA)
-
Category
No comments found